Urdu Translation: Magar insaan ( Ajeeb Makhluq hai ki) jab uska parwardigar usko Aazmata hai to usey Ezzat deta aur Naimat bakshta hai to kahta hai ki Mere RAB ne mujhe Ezzat bakhshi aur Jab ( dusri tarah) Aazmata hai ki us par rozi tang kar deta hai to kahta hai ki Mere RAB ne mujhe Zaleel kiya, Nahi balki tum log Yateem ki khatir nahi kartey aur na Miskeen ko khana khilaney ki tagheeb detey ho aur Meeras ke maal samet kar kha jatey ho aur Maal ko bahut hi Azeez rakhtey ho Al Quran,Surah Fajr, Chapter 89,Verse 15-20
English Translation: As for man, when his Lord tries him by giving him honour and bounties, then he says (in exultation): "My Lord has honoured me. But when He tries him by straitening his means of life, he says: "My Lord has humiliated me!" Nay! But you treat not the orphans with kindness and generosity And urge not one another on the feeding of Al-Miskin (the poor)! And you devour the inheritance all with greed, And you love wealth with much love. Al Quran, Surah Fajr,Chapter 89,Verse 15-20
|
|
Al Quran: Tum log Yateem ki khatir nahi kartey aur na Miskeen ko khana khilaney ki tagheeb detey ho
Magar insaan ( Ajeeb Makhluq hai ki) jab uska RAB usko Aazmata hai to usey Ezzat deta aur Naimat bakshta hai to kahta hai ki Mere RAB ne mujhe Ezzat bakhshi aur Jab ( dusri tarah) Aazmata hai ki us par rozi tang kar deta hai to kahta hai ki Mere RAB ne mujhe Zaleel kiya, Nahi balki tum log Yateem ki khatir nahi kartey aur na Miskeen ko khana khilaney ki tagheeb detey ho aur Meeras ke maal samet kar kha jatey ho aur Maal ko bahut hi Azeez rakhtey ho Al Quran, Suraj Al-Fajr, Chapter 89 , Verse 15-20
Hadith: Sahl bin Sa'd Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Main aur Yateem ki parwarish karney wala Jannat mein is tarah hongey aur Aapney shahdat aur darmiyani ungliyon ke ishaarey se (dono ka kareeb hona) bataya Sahih Muslim, 6005 >>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
As for man, when his Lord tries him by giving him honour and bounties, then he says (in exultation): "My Lord has honoured me. But when He tries him by straitening his means of life, he says: "My Lord has humiliated me!" Nay! But you treat not the orphans with kindness and generosity And urge not one another on the feeding of Al-Miskin (the poor)! And you devour the inheritance all with greed, And you love wealth with much love. Al Quran, Suraj Al-Fajr, Chapter 89 , Verse 15-20
Hadith: Narrated Sahl bin Sa'd Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said, "I and the person who looks after an orphan and provides for him, will be in Paradise like this," putting his index and middle fingers together. (same like both finger) Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 34
Aayat-ul-Kursi
Allah! La ilaha illa Huwa (none has the right to be worshipped but He), Al-Hayyul-Qayyum (the Ever Living, the One Who sustains and protects all that exists). Neither slumber nor sleep overtakes Him. To Him belongs whatever is in the heavens and whatever is on the earth. Who is he that can intercede with Him except with His Permission? He knows what happens to them (His creatures) in this world, and what will happen to them in the Hereafter. And they will never compass anything of His Knowledge except that which He wills. His Kursi extends over the heavens and the earth, and He feels no fatigue in guarding and preserving them. And He is the Most High, the Most Great. Al Quran Surah Al Baqara, 2:255
------------------------------------------------------------------------------------- Allah ke siwa koi Ibadat ke layaq nahi, Zinda hamesha rahney wala usey na ungh aati hai na neend, jo kuch Aasmano aur jo kuch zameen mein hai sab usi ka hai kaun hai jo uski ejazat ke bagair us sey sifarish kar sakey jo kuch logo ke ru baru (samney) ho raha hai aur jo kuch unkey peechey ho chuka hai usey sab malum hai aur wo uskey malumat mein se kisi cheez par dastaras hasil nahi kar saktey magar jitna ke wo chahey, uski baadshahi Aasman aur zameen sab par hawi hai aur usey unki hifazat kuch bhi dushwar nahi wo bada Aali rutba aur Jaleel ul Qadr hai Al Quran Surah Al Baqara, 2:255
Mafhum-E-Hadith : Do sazdon ke darmiyan ye Dua parhna sunnat hai (Read this Dua between two prostrations is Sunnah )
Abdullah ibn Abbas radi allaho anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam Do sazdo ke darmiyan ye dua parhtey they Allahumma Aghfirli, wa Arhamni , wa Aafini, Wa Ahdini, wa Arzuqni اللهم أغفر لي وارحمني وعافني واهدني وارزقني (Eh Allah mujhe baksh de aur mujh par raham farma aur mujhe Aafiyat de aur mujhe Hidayat de aur mujhe Rizq ata farma) Sunan Abu Dawud, Vol 1 , 842
AL Bara Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ke ruku , Sazda , ruku se sir uthaney ke baad ka waqt aur dono Sazdo ke darmiyan baithney ka waqt barabar hota tha Sahih Bukhari, Vol1, 801
------------------------------------------- English Tranaslation: Narrated Abdullah ibn Abbas radi allaho anhuma: The Prophet peace_be_upon_him used to say between the two prostrations ( Suzud) : اللهم أغفر لي وارحمني وعافني واهدني وارزقني Allahumma Aghfirli, wa Arhamni , wa Aafini, Wa Ahdini, wa Arzuqni
O Allah, forgive me and have mercy on me and heal me and guide me and provide (Rizq) for me. Sunan Abu dawud, Book 3, Number 0849:
Narrated Al-Bara': The bowing, the prostrations, the period of standing after bowing and the intervalbetween the two prostrations of the Prophet used to be equal in duration . Sahih Bukhari, Book #12, Hadith #766
jab tum mein se koi shaksh masjid mein dakhil ho to baithney se pahley Do Rakaat namaz parh le
Abu Qatada Al Salmi radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah sallallahu-alaihi-wasallam ne farmaya jab tum mein se koi shaksh masjid mein dakhil ho to baithney se pahley Do Rakaat namaz parh le Sahih Bukhari , Vol 1, # 444
///////////////////////////////////////////////////////////////////////
Narrated Abu Qatada Al-Aslami may ALLAH be pleased with him Allah's Apostle Peace be upon him said, If anyone of you enters a mosque, he should pray two Rakat before sitting. Sahih Bukhari,Vol 1, Book 8, No. 435
Al Quran: Ya Rab, Hamarey aur hamrey Bhaeeyo ke jo humse pahley Imaan laye hain ke gunaah Maaf farma aur momeeno ki taraf se Hamarey Dil mein Keena (Hasad) paida na hone de, Ya Rab tu bada shafqat karney wala aur meharbaan hai Al Quran: Surah Al hashr , verse 10
Hazrat Jarer bin Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jo shaksh bando par Raham na karega Allah taala us par raham nahi karega Sahih Muslim , Vol 6, #6030
>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
Our Lord! Forgive us and our brothers who have preceded us in Faith, and put not in our hearts any hatred against those who have believed. Our Lord! You are indeed full of kindness, Most Merciful. Al Quran: Surah Al hashr , verse 10
Jarer bin Abdullah may ALLAH be pleased with him said that the Messenger of Allah may peace be upon him said: He who does not show mercy to the people, Allah, the Exalted and Glorious, does not show mercy to him. Sahih Muslim, Book 030, Number 5737
Urdu Translation: Hazrat Abu Musa Radi Allahu anhu se rivayat hai ki ki RASOOLLALLAH sallallahu alaihi wasallam ne hum mein khadey hokar 5 baatein irshaad farmayee , Allah sota nahi hai sur sona uski shaan nahi hai, Allah Tarazu ko jhukatey hain aur upar uthatey hain (yani kisi ka rizq ziyada kisi ka kam kar detey hain) Din ke Aamal, Raaat ke amal karney se pahley unki baargah mein pesh kiya jatey hain aur Raat ke Aamal din ke amal karney se pahley. (pesh kiya jatey hain) unka Hijab Noor hai agar usey hata de to unkey Noor ki Roshniyan Ta Hadd-e-Nigah uski makhluq ko jala de. Sunan Ibn Majah, Volume 1, #195
English Translation: Narrated Abu Musa may ALLAH be pleased with him “The Messenger of Allah Peace be upon him stood up amongst us and said five things. ‘Allah does not sleep, and it is not befitting that He should sleep. He lowers the Scales and raises them. The deed done during the day is taken up to Him before the deed done during the night, and the deed done during the night before the deed done during the day. His Veil is Light and if He were to remove it, the glory of His Light would burn everything of His creation, as far as His gaze reaches.’” (Sahih) Sunan Ibn Majah, Volume 1, #195
Quraan kya hai? Allah ne Quraan kyun bheja duniya main??taake hum nasihat haasil kare, par kya hum har roz Quraan padte hai?? ghanton guzaarte hai khud k liye par Allah ke liye hamare paas waqt nahi hai,har roz hum Allah ko naraaz kar rahe hai jaise jaise din khatam hore waise hi zindagi bhi khatam horahi hai aur hum maut ki taraf bad rahe hai..kaun hai marne k baad kaun kiski sifaarish karega Allah se??sub apne apne Aa'maal jama kar rahe huwe honge,marne ke baad Quraan hamari shifahat karegi usse mazbuti se thaamiye.
Aur Allah to raat aur din ka andaaza rakhta hai,usne malum kar liya hai ke tum usko nibhaa na sakoge,to usne tum par meharbaani ki,pas jitna aasaani se ho sake utna Quraan padliya karo.usne jaan liya ke baaz tum main beemaar hai,baaz ma'aash kitalaash main mulk main safar karte hai,aur baaz Allah ki raah main ladte hai,jo jitna aasaani se ho sake utna pad liya karo aur namaaz ki paabandi rakho,aur zakat ada karte raho,aur Allah ko qarze hasna dete raho,aur jo naik aamal tum apne liye aage bhejdoge to uske sile main Allah ke haan behtar aur buzurg tar sila paaoge,aur Allah se bakhshih maangte raho,Aur Allah bada bakhashne waala hai..Sureh Muzammil Aayat no:20
Beshak yeh quraan woh raasta dikhaata hai jo subse seedha hai aur momeen ko jo naik aamal karte hai khushi ki khabar deta,ke unke liye Ajr-Azeem hai, Aur Quraan yeh bhi batata hai ke jo aakhirat par yakeen nahi laaye to humne unke liye dard naak azaab taiyaar kar rakha hai sureh-Bani israel aayat no-9,10
Aur humne Quraan ko naseehat haasil karne ke liye aasaan kar diya to koe hai naseehat haasil karne waala ??? Sureh :Al-Qamar Aayat no-22
Aye Nabi Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam Aap suraj ke dhalne se raat ke andhere tak namaazen padha kijiye kyun ke subha Quraan ka padna farishton ki haazri ka waqt hota hai,Aaur raat ke baaz hisse main bhi, Sureh Bani Isreal Aayat no:78-79
Jo is kitaab se munh modega woh qiyaamat ke din gunaah ka bojh uthaaenge woh us main hamesha rahenge aur yeh bojh qiyaamat ke roz unke liye bahut bura hoga,jis roz soor phunka jaayega aur hum gunaah-gaaron ko ekhatta karenge,is haalat main ke unki aankhen neeli-neeli hongi,aapas main aahiste aahiste kahenge ke hum duniya main srif das din rahe honge,hum khoob jaante hai ke jab un main jo aaqil aur hoshmand hoga woh unne kahenge ne nahi! tum to ek hi din rahe ho Sureh TaHa Aayat no:100-104
Aye ALLAH!!! tu meri qabar main meri wehshat ke waqt ek rafeeq ataa farmaa,Aye ALLAH!! Tu baa-azmath Quraan-e-kareem ke sadqe mujhe par reham farma,aur Quraan-e-kareem ko mere liye rehbar bana,raushini bana,aur hidaayat aur rehmath bana . Quraan-e-kareem ki jo cheez main bhool gaya hoon tu mujhe yaad dilaade aur jo main nahi jaanti woh tu mujhe sikhaade aur tu mujhe raat aur din Quraan-e-kareem padne ki taufeeq ata farma,aur Ae tamaam jahanon ke maalik tu Quraan-e-kareem ko mere liye daleel-o-burhaan ki mazbooth sanad banade
<<Namazi ke samney se Guzarney ka gunaah>>
Abu Jaheem radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah sallallahu-alaihi- wasallam ne farmaya ki agar Namazi ke samney se guzarney wala janta ki uska kina bada gunaah hai to uskey samney se guzarney par 40 ( Din ya mahiney ya saal) tak wahi khadey rahney par tarjeeh deta Abu al nasar ne kaha ki mujhe yaad nahi ki basar bin saeed ne 40 din kaha ya 40 mahina ya 40 Saal Sahih Bukhari , Vol 1, # 510
English Translation: Narrated Busr bin Said: Abu Juhaim Radi-Allahu-Anhu Said , "Allah's Apostle said, 'If the person who passes in front of another person in prayer knew the magnitude of his sin he would prefer to wait for 40 (days, months or years) rather than to pass in front of him." Abu An-Nadr said, "I do not remember exactly whether he said 40 days, months or years." Sahih Bukhari,Volume 1, Book 9, Number 489:
Al Quran: Aur jo koi kisi Musalman ko Jaan boojh kar ( intentionaly) Qatl karey uski saza Dojakh hai jismein wo hamesha rahega us par Allah ka ghazab aur uski laanat hai aur Allah ne uskey liye bada Azab tayyar kiya hai Al Quran Surah An Nisa (4) :93
Hadith: Abdullah bin 'Umar Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya mere baad kaafir na ban jana ki tum ek dusrey ki garden maarney (yani Qatl karney) lag jao Sahih Bukhari, Vol 8, 6868
Abdullah bin masood Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Musalmaan ko gaali dena fusuq ( bura kaam) hai aur musalman ko Qatl karna kufr hai Sahih Bukhari, Iman ka Bayan,No. 48 ---------------------------------------------------------------- Al Quran: And whoever kills a believer intentionally, his recompense is Hell to abide therein; and the Wrath and the Curse of Allah are upon him, and a great punishment is prepared for him. Al Quran Surah An Nisa (4) :93
Hadith: Narrated 'Abdullah bin 'Umar Radi Allahu Anhuma : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "After me do not become disbelievers, by striking (cutting) the necks of one another. Sahih Bukhari, Volume 9, Book 83, Number 7:
Narrated 'Abdullah bin masood Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Abusing a Muslim is Fusuq (an evil doing) and killing him is Kufr (disbelief)." Sahih Bukhari, Vol 1, Book 2, No. 47:
Bahut naaz hai Tujhe is duniya par aey Insaan jiske liye tu apne khuda ko bhula betha hai??? kya karlegi yeh duniya tere liye jis par tu aas lagaye betha hai?? Meri ibaadat tujhe choti lagti hai yeh duniya ki khawishon ke muqable? yeh duniya Ek din Tere hi janaze pe aakar Kahenge aur Kitni der hai Dafnaane me isse???
Aur jo tauba karle aur Imaan le aaye,aur ache kaam kiye,phir seedhe raaste par chale,to main usko bakhsh doonga Sureh TaHA aayat no:82
To jo naik kaam karenge aur momeen bhi hoga,to uski koshish zaaye na hogi aur hum isko likh rahe hai Sureh Ambiya aayat no:94
Aur jo Allah ki madad karta hai Allah uski zaroor madad karta hai ,bila-shuba Allah badi quwat waala aur bada ghalba rakhne waala hai Sureh Hajj aayat no:40
Jo naik kaam karenge mard ho ya aurat ,ba-shart ye ke momeen ho to hum usko achi zindagi denge aur unke ache aamaal ka unko hisa denge Sureh Nahl, aayat no.97
Jo log Allah se bina dekhe darte hai to unke liye bakshish aur bada sila hai (sureh Mulk aayat no-12)
to jo apne rab se milne ki khaasish rakhta hai to usko chahiye ke naik aamal kare,aur apne rab ki ibaadat main kisi dusre ko shareek na kare Sureh Kahaf aayat no:110
Aye Imaan waalon Nabi-e-kareem par duroor aur salaam bheja karo:
Abu Humaid As-Sa'idi Radiallahu anhu se rivayat hai ki logo ne pucha Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam hum Aap par kis tarah durud bheja karein Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kaho
اللــــــــهم صل على محمد وعلى آل محمد كما صليت على إبراهيم وعلى آل إبراهيم إنك حميد مجيد .اللـــــــهم بارك على محمد وعلى آل محمد كما باركت على إبراهيم وعلى آل إبراهيم إنك حميد مجيد Sahih Bukhari, 3369
Hazrat Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh mujh par Ek martaba Durud bhejega to Allah subhanahu us par 10 martaba rahmat bhejega aur 10 gunaah maaf hongey aur 10 darjaat buland hongey Sunan An Nasaii, Vol1, No. 1300
Abu Hurairah Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya agar tum mein se koi mujhe salam karta hai to Allah taala meri rooh ko wapas lauta deta hai aur main uskey salam ka jawab deta hu Sunan Abu Dawud, Vol2, 273
Thumama bin Abdullah se rivat hai ki Anas Radi Allahu Anhu 2 ya 3 saans mein paani peetey they aur kaha karte they ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam 3 saanson mein paani peetey they. Sahih Bukhari, 5631 ----------------------------------------
Narrated Thumama bin Abdullah: Anas Radi Allahu Anha used to breathe twice or thrice in the vessel (while drinking) and used to say that the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam ; used to take three breaths while drinking. Sahih Bukhari, Vol 7, Book 69, No. 535:
Logon ke saamne se to hum bachkar gunah karrahe hai duniya aur sharmmindgi ke dar se,Tanhai main bhi Gunaah karne se bacho, kyunki iska Gawah khud Allah Rabbul Aalameen hota hai...beshak woh hume khoob dekh raha hai
Jo banda apne Rab ke paas gunaah-gaar bankar aaega to uske liye dozakh hai,jis main na marenge aur na jiyenge, Aur jo Banda uske paas momeen hokar aayega,aur ache kaam kiye honge to unke liye bade bade darjaat honge Yaani hamesha ki jannat hogi ,jis ke niche nehren beh rahi hogi,woh hamesha in main rahenge aur yeh badla uska hai jo paak huwa Sureh Ta Ha Aayat no:74,75,76
Aur humne har insaan ka Aamaal uske gale ka haar bana kar rakha hai aur qayaamat ke din hum uska Aamal naama uske waaste nikaal kar uske saamne kardenge jisko woh khula huwa dekhlenga ,apna Aamal naama khud padle aur aaj tu khud apna aaphi muhaasib kaafi hai parah-15,Sureh-Bani isreal aayat no.13,14
Jo log yeh pasand karte hai ke be-hayaee momeen main khoob phaile to unko duniya aur aakhirat main dukh dene waala azaab hoga aur Allah (khoob) jaanta hai aur tum nahi jaante Sureh Noor Aayat no :19
Aur jo tauba karle aur Imaan le aaye,aur ache kaam kiye,phir seedhe raaste par chale,to main usko bakhsh doonga Sureh TaHA aayat no:82
Jo naik kaam karenge mard ho ya aurat ,ba-shart ye ke momeen ho to hum usko achi zindagi denge aur unke ache aamaal ka unko hisa denge Sureh Nahl, aayat no.97
Jo log Allah se bina dekhe darte hai to unke liye bakshish aur bada sila hai (sureh Mulk aayat no-12)
Jaandaron mein sabse badtar Allah ke Nazdeek wo log hain jo kaafir hain so wo Imaan nahi laatey Al Quran , Surah Al Anfal (8), verse 55
Beshaq Jo log kaafir hain , Ahla-e-kitaab (mein se) aur mushrik wo dojakh ki Aag mein padey rahengey (aur) hamesha usmein rahngey , Ye log sab makhluq se badtar hain Al Quran , Surah bayyina(98), verse 6
-----------------------------------------------------------
Verily, those who disbelieve from among the people of the Scripture (Jews and Christians) and Al-Mushrikun will abide in the Fire of Hell. They are the worst of creatures Al Quran , Surah bayyina(98), verse 6
Verily, The worst of moving (living) creatures before Allah are those who disbelieve , - so they shall not believe. Al Quran , Surah Al Anfal (8), verse 55
|
0 comments: