Hadith: jisney kisi cheez se khudkushi kar li to usey Jahannam mein usi se azab diya jayega
Jundub Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya pichley zamaney mein ek shaksh zakhmi ho gaya tha aur us sey usko badi takleef ho rahi thi aakhir usney churi (knife) se apna haat kaat dala aur khoon bahney laga jis ki wajah se wo mar gaya Allah taala ne farmaya mere bandey ne marney mein jaldi ki isliye mainey bhi jannat ko is par haram kar diya.
Sahih Bukhari, 3463
Thabit bin Ad-Dahhak Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisney kisi cheez se khudkushi kar li to usey Jahannam mein usi se azab diya jayega
Sahih Bukhari, 6105
----------------------------------------------------------------
Narrated Jundub Radi Allahu Anhu: Allah's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam said, "Amongst the nations before you there was a man who got a wound, and growing impatient (with its pain), he took a knife and cut his hand with it and the blood did not stop till he died. Allah said, 'My Slave hurried to bring death upon himself so I have forbidden him (to enter) Paradise.'
Vol 4, Book 56, No. 669:
Narrated Thabit bin Ad-Dahhak Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said, whoever commits suicide with something, will be punished with the same thing in the (Hell) fire
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 126:
Hadith: wahan ki museebat aisee sakht hogi ki koi ek dusrey ko na dekhega
Umm Aayesha Radi allahu anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Qayamat ke din log hashar kiye jaynegey , nangey paaw, nangey badan, bina khatna kiye huye, mainey arz kiya Ya Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam Mard aur Aurat ek saath hongey to ek dusrey ko dekhegey ,Aap Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Eh Aayesha wahan ki museebat aisee sakht hogi ki koi ek dusrey ko na dekhega
Sahih Muslim , 7198
---------------------------------------------------
'A'isha Radi allahu anha reported that she heard Allah's Messenger Sallallahu Alaihi wasallam as saying: The people would be assembled on the Day of Resurrection barefooted, naked and uncircumcised. I said: Allah's Messenger Sallallahu Alaihi wasallam , will the male and the female be together on the Day and would they be looking at one another? Upon this Allah's Messenger (may peace be upon him) said: 'A'isha, the matter would be too serious for them to look to one another
Sahih Muslim Book 040, Number 6844:
Hadith: Tumharey badan ka bhi tum par haq hai , aur tumhari biwi ka bhi tum par haq hai.
Abdullah bin 'Amr bin Al-'As Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Abdullah kya muijhe jo khbar mili sahi hai ki tum rozana (Rozana) din mein roza rakhtey ho aur raat bhar ibadat kartey ho, mainey kaha ki haan ya Rasoollallah Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam , to Aapne farmaya ki aisa na karo, Rozey bhi rakho aur bina rozey bhi raho raat mein ibadat bhi karo aur soya bhi karo, kyunki tumharey badan ka bhi tum par haq hai , tumhari aankh ka bhi tum par haq hai aur tumhari biwi ka bhi tum par haq hai.
Sahih Bukhari, 5199
-------------------------------------------------------------------------------
Narrated 'Abdullah bin 'Amr bin Al-'As Radi Allahu Anhu: Allah's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam said, "O 'Abdullah! Have I not been formed that you fast all the day and stand in prayer all night?" I said, "Yes, O Allah's Apostle!" He said, "Do not do that! Observe the fast sometimes and also leave them (the fast) at other times; stand up for the prayer at night and also sleep at night. Your body has a right over you, your eyes have a right over you and your wife has a right over you."
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 62, No. 127
Hadith: Do aadmiyon ka khana teen logon ke liye kafi hai
Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Do aadmiyon ka khana teen logon ke liye kafi hai aur teen aadmiyon ka khana chaar logon ke liye kaafi hai.
Sahih Bukhari, , 5392
---------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu: Allah's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam said, "The food for two persons is sufficient for three, and the food of three persons is sufficient for four persons."
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 65, No. 304:
Hadith: Ya Allah main Panaah maangta hun teri Naimat ke zawal se
Abdullah bin umar Radi allahu anhu se rivayat hai ki RASOOLLALLAH Sallallahu alaihi wasallam ki dua ye thi : Ya Allah main Panaah maangta hun teri Naimat ke zawal se, aur teri di huyee Aafiyat aur sehat ke palat janey se ,aur tere naaghani Azab se , aur sab tere ghazab (gussey) waley kaamon se.
Sahih Muslim , 6943
>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
Abdullah b. Umar Radi allaho anhu reported that Allah's Messenger may peace be upon him supplicated in these words:" O Allah, I seek refuge in Thee from the withdrawal of Thine blessing and the change of Thine protection (from me) and from the sudden wrath of Thine, and from every displeasure of Thine."
Sahih Muslim Book 036, Number 6602:
Hadith: Shifa teen cheezon mein hai ..
Narrated Ibn 'Abbas Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Healing is in three things: cupping (Hijama) , a gulp of honey or cauterization, (branding with fire) but I forbid my followers to use cauterization (branding with fire)."
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 71, Number 585:
------------------------------------------------------
Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Shifa teen cheezon mein hai Shahad ke sharbat mein, pachna lagwaney mein(yani Hijama) aur Aag se dagney mein lekin mainey Ummat ko Aag se daag kar Ilaj karney se mana farmaya hai
Sahih Bukhari, Vol 7, 5681
Hadith: Sabse pahley mein Shafa’at karunga aur sabse pahley meri shafaat Qubul hogi
Hazrat Abu Hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah sallallahu ne farmaya main Aulad Aadam ka sardar hunga Qayamat ke din. aur sabse pahley mein Shafa’at karunga aur sabse pahley meri shafaat Qubul hogi
Sahih Muslim, Fazeelaton ke Masayeel, 5940
-----------------------------------------------------------------
Hazrat Abu Huraira may ALLAH be pleased with him reported Allah's Messenger may peace be upon him as saying: I shall be pre-eminent arriongst the descendants of Adam on the Day of Resurrection and I will be the first intercessor and the first whose intercession will be accepted (by Allah)
Sahih Muslim, Book 030, Number 5655:
Urdu Translation:
Hazrat Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki RASOOLLALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam ne apney minbar par se irshaad farmaya Logon ko Namaz jumaa tark karney (chorh deney) se baaz rahna chahiye nahi to ALLAH taala unkey Dilon par Muhar laga dega phir wo Ghafeeleen mein ho jayengey.
Sunan An Nasai, Vol 1, # 1373
English Translation:
Narrated Abdullah bin umar may ALLAH be pleased with him said that Prophet peace be upon him said while he was on minbar that The people should stop neglecting Friday prayer or ALLAH will pleace a seal on their hearts and they will be deemed as being among the negligent.
Sunan An Nasai, Vol 2, Book of Jumaa, #1371
Hadith: namazi ke aagey se Guzarney wale ko rok dena chahiye.
Urdu Translation:
Abu Said Khudri Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jab koi shaksh kisi cheez ki taraf munh karkey namaz parey aur us cheez ko aad (sutra) bana raha ho aur phir bhi agar koi samney se guzrey to usey rok dena chahiye aur agar phir bhi na maney to usey forcily rokna chahiye kyunki wo shaitan hai.
Sahih Bukhari, Namaz ke masayeel(508)
English Translation:
Narreted by Abu Sa'id khudri Radiallahu anhu , "I heard the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam saying, 'If anybody amongst you is praying behind something as a Sutra and somebody tries to pass in front of him, then he should repulse him and if he refuses, he should use force against him for he is a shaitan.' "
Sahih Bukhari, Vol 1, Book 9, No. 488:
Hadith >>> ALLAH ne muqaddar kar diya aur jo usney chaha kiya….
Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya ek tandurast momeen ALLAH subhanahu ke nazdeek kamzor momeen se ziyada pasandeeda aur bhehtar hai , har cheez mein bhalaii talab kar jo tujhe nafaa de usmein ragbat kar ( yani uskey kareeb ja) aur ALLAH se madad maang aur Dil na haar agar tujhe koi museebat pahuncchey to yu na kah ki agar main is is tarah kar leta , bulki ye kah ki jo ALLAH ne muqaddar kar diya aur jo usney chaha kiya, kyunki lafz agar shaitan ka kaam shuru kara deta hai
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 79
>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
Narrated Abu Hurairah may ALLAH be pleased with him The Messenger of ALLAH Peace be upon him said: “The strong believer is better and more beloved to ALLAH than the weak believer, although both are good. Strive for that which will benefit you, seek the help of ALLAH, and do not feel helpless. If anything befalls you, do not say, “If only I had done such and such.” Rather say, “Qaddara Allahu wa ma sha'a fa'ala (ALLAH has decreed and whatever He wills, He does).” For (saying) 'If' opens (the door) to the deeds of Satan.'” (Sahih)
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 79i
Hadith : All Muslims are Brothers :)
Allah's Apostle (Sallal laahu Alai wa sallam) said, "A Muslim is a brother of another Muslim
(Sahih Bukhari Volume 3, Book 43, Number 622:)
The Prophet (Sallal laahu Alai wa sallam) said, "None of you will have faith till he wishes for his (Muslim) brother what he likes for himself."
(Sahih Bukhari Volume 1, Book 2, Number 12:)
>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
Nabi e kareem (Sallal laahu Alai wa sallam) ne farmaya Har Musalmaan Dusre Musal maan ka BHAI hai
Kisi Bhi Shakhs ka Imaan nahi hoga jab tak ki woh Apne Bhai ke liye woh cheeze nahi chahtha jo woh apne liye chahtha hai
Hadith : ALLAH taala farmayega dekho kya mere bandey ke pass Nawafil hain
Hazrat tameem dari Radi Allahu anhu se rivayat hai ki ki RASOOLLALLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaya bandey se Qayamat ke Roz sabse pahley (faz) namaz ka hisab hoga agar uski Namazein puri hongi to uskey Nawafil alag se likh diye jayengey aur agar usney namazein puri nahi ki hongi to ALLAH taala apney farishton se farmayega dekho kya mere bandey ke pass Nawafil hain ? to un nawafil ke zariye jo faraaeez usney zaya kar diye unki takmeel kar do phir baqi Aamal ka Hisab bhi isi tarah hoga -
Sunan Ibn Majah, Volume 1, #1426
--------------------------------------------------------------------
Hadith:ALLAH will say Look and see wheather you find any voluntary (Nawafil) prayer for my slave
It was Narrated from tamim dari may ALLAH be pleased with him that the Prophet Peace be upon him said The first thing for which A person will be brought to a account on the Day of Resurrection will be his prayer (Salah) . If it is complete then the voluntary ( Nawafil) prayer will also be recorded for him (As an increase) If it is not complete then Allah will say to his Angels Look and see wheather you find any voluntary (Nawafil) prayer for my slave and take them to make up what is lacking from his obligatory ( farz) prayers then All his deeds will be recokened in like manner ( Sahih)
Sunan Ibn Majah, Volume 1, #1426
Mafhum-e- Hadith: Kabristan mein Namaz parhna mana hai
Hazrat Ali Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki mere Habib Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne Kabristan mein Namaz parhney se mana farmaya hai
Sunan Abu Dawud, Vol 1, # 488
Hazrat Abu said khudri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya sari zameen Namaz ki jagah hai siwaye Hamam aur Kabristan ke
Sunan Abu Dawud, Vol 1, # 490
-------------------------------------------------------
English Translation:
Narrated Ali May Allah be Pleased with him said: My affectionate friend (Prophet Peace be upon him ) prohibited me to say prayer in the graveyard
Sunan Abu Dawud, Vol 1, Book2 # 490
Narrated Sa'id may ALLAH be pleased with him : The Prophet peace be upon him said: The whole earth is a place of prayer except public baths and graveyards.
Sunan Abu Dawud, Vol 1, Book 2, Number 0492
Hadith: Tumharey liye har musalman ke peechey namaz parhna wajib hai chahey wo neik ho ya bura
Hazrat Abu Hurairah Radi allaho anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya tumharey liye har hakim ke saath milkar Jihad karna wajib hai chahey wo neik ho ya bura , tumharey liye har musalman ke peechey namaz parhna wajib hai chahey wo neik ho ya bura, chahey usney kabira gunnah hi kyu na kiya ho, isi tarah tumharey liye har musalamn par namaz (Janaza) parhna wajib hai chahey wo neik ho ya badkaar chahey usney kabira gunnah hi kyu na kiya ho
Sunan Abu Dawud, vol2, 761
---------------------------------------------------------------
Narrated AbuHurayrah Radi Allahu Anhu :The Prophet (peace_be_upon_him) said: Striving in the path of Allah (jihad) is incumbent on you along with every ruler, whether he is pious or impious; the prayer is obligatory on you behind every believer, pious or impious, even if he commits major sins; the (funeral) prayer is incumbent upon every Muslim, pious and impious, even if he commits major sins.
Sunan Abu Dawud, Book 14, Number 2527
Mafhum-e-Hadith: Nazar-e-Bad se bachney ki Dua
Ibn Abbas Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Allah se Hazrat Hussain wa Hasan radi allahu anhuma ke liye panaah talab kiya kartey they aur farmatey they ki tumharey buzurg Dada (Ibrahim Alaihi salam) bhi Ismaeel aur Isaac (Alaihi salam) ke liye inhi kalamat ke jariye Allah ki panaah maanga kartey they.
أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لامَّةٍ
A'oodhu bikalimatIllahi-tammatti min kulli shaytaanin wa hammatin wamin kulli 'aynin lammatin
(Main Panaah maangta hun Allah ki pure purey kalamat ke jariye, har shaitan se aur har zahreeley janwar se aur har nuksan pahunchaney wali nazar-e-bad se.)
Sahih Bukhari, Vol 4 , 3371
---------------------------------------------------------------------------
Narrated Ibn 'Abbas Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam used to seek Refuge with Allah for Al-Hasan and Al-Husain and say: "Your forefather (Abraham Alaihi Salam) used to seek Refuge with Allah for Ishmael and Isaac (Alaihi salam) by reciting the following:
أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لامَّةٍ
( O Allah! I seek Refuge with Your Perfect Words from every devil and from poisonous pests and from every evil, harmful, envious eye.)
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 55, No. 590
0 comments: